बीवी फातिमा का एक किस्सा- पढ़ें और सबको शेयर करें ( Roman)

शेयर करें
  • 8.2K
    Shares

Bibi Fatima Ki Kahani Ek mashoor reewayat hey ke arab ke kissi shehair mein aek sunaaran raihtti thi jis kay sirf aek larrka tha. Ek roz jub sunaaran kuaen par paani bharney gaee tou ooska larrka bhi uske peechey holia. Sunaaran larrkayko kuaen ke qareeb bithaakar paani bharnay lugee.

Kuaen ke dusree taraf aek Kumhaar rahta thaa jis ki bhatti oos waqt khoob daihak rahee
thi. Larrka kailtay kailtay oos taraf nikal gaya. Sunaaran jab paani bharchooki tau kuaen kay kareeb larrkay ko na paaker kheyaal kiya ke ghar chalaa gia hoga.

Waapis ghar ponchee tau woh vahaan bhi nahi mila. Maa barri paraishaan houee. Roti peet thi apnay luktay jigar ki talaash mein doobara ghar se niklee. Kuaen kay qareeb aaee. Jagah jagah dhoonda. Sargardaan aur pareshaan phirtee rahi. Har ek se pooncha magar koi suraag na mila. Is tarah shaam ho gai.

Yakayak shor hua ke sunaraan ka larrka Kumhaar ki bhatti me gir kay jull gaya hai. Ye sun
kar sunaarun ko intahaiee sudma hua aur is qadar roee ke oossay ghash agayaa. Alam-e-ghashee me kia dakhtee hai kay aek mozamma naqaab posh tashreef laaee haen aur
farmaraheen hein ke ghum na kha.

Tera baitta bauhat jald tuj say milega. Tu nee-ut kar lay kay agar mera baitta kumhaar ke bhatti mein se zinda khailta khoodta nikal aaey tau mein Janaab Saiyada (S.A.) kee kahaani sunoon ghi. Sunaaran ne forun aalam-e-ghushee me hi neeyat karke munnat
maan lee.

Jub sunaaran ki ankh khulee to waqai sunaran ne dekha kay larrka Khuda ke fazal –o-
karam se hunsta khailta zinda salaamat challa aaraha hai aur Ijaz-e-Janaabe Saiyada (S.A.) say uss kay jism per aag ne koi asr nahee kia.

Yahantak ke lebaas-badan tuk mehfooz raha. Allah huma sale alla Mohammadin wa ale
Mohammad. Sunaran bachay ko lekar khushee khushee bazaar gayee aur do paisay ke
sheernee mole lee aur parauseeun se kaha ke meree murad puree huee hai. Mere ghar chalkar Janaab Saiyada (S.A.) ki kahaani mujeysunaado.

Chey saat gharon me phiree laikin har ek ne yahee jawaab diya ke na hamein kahaani
yaad hai aur na humko itnee fursat hai kay in fazool baaton ki taraf tawajey dein. Sunarun
maayus hokar jungle ki taraf chaldee.

Kuch door chalkar wohee naqab posh Mozamma nazar aaeen aur farmaya kay ae khatoon
mat ro. Chadar beechaa kar baith jaa. Mein kahani sunaati houn aur tum suno. Phir app ne
farmaiya kay shehair Madina me eik yahudi rahta tha.

Us ki larrkhi ki shaadi thi. Isliye woh yahudi janaab Rasool-e-Khuda (S.A.W) ki khidmat me aaya aur kaheney laga ke mere larrki ki shaadi hai. Aap ijaazat dein to mein sharf paoun ke Janaab Saiyada (S.A.) mairay ghar tushreef le chalain. Aap ne farmaya ke iss amr kay malik Janaab Ali (A.S.) hein.

Ye sunkar woh Hazrat Ali (A.S.) ki khidmat me hazaar houa aur arz ki kay aap ijazaat dein to janaab Saiyada (A.S.) merey ghar tashreef le chalain. Aap nein fermaaya key iss amr ki maalik khud Janaab Saiyada (S.A.) hein.

Iss kay baad woh yahudi Janaab Saiyada (S.A.) kay derwazay per aaya aur awaaz dee kay aiy Bint-e- Rasool meri larrki ki shaadi hai. AGAR AAP TASHREEF LAY CHALEIN TOU MERI
BOHATT IZZAT AFZAI HOGI.

Aap ney fermaaya ke Janaab Ameer (A.S.) say ijaazat lay loon to chaloon. Yahudi ney arz ki kay mein Rasool-e-Khudda (Saleh-Ala-Waley-Wa Sallum) aur Shair-e-Khuda Hazarat Ali
(A.S.) ki khidmat mey ghia thaa. Sub ney aap hee komukhtaar kia hae.

Janab Saiyada (A.S.) yeh soonker mutaffakar ho gaaeen. Itney mein Janaab Risulat-Maab Janaab Rasool-e- Khuda (Salah-ala-waley-wa-sal-lum) khud tashreef lai aaey.

Janaab Saiyaida (A.S.) nay fermaayaa kay yahudi kay ghar se aadmi aaya hai Aap kia fermaatey hein iss key ghar jaaoon key naheen. Aap ney fermaya key baitti iss ka ikhtiar khud tumko hai. Janaab Saiyada A.S.) ney phir fermaaya ke baba jaan aap ki sakht toheen hogee key merey pas wohee phattey pooraney kuprrey hein jismein jaa bajja khurmoon
key peywand lagey howey hein. Rasool khuda (A.S.)

ney fermaaya key baitti issi halat me jao. Jo marzi Mabood. Chunachey Janaab Saiyada (A.S.) Janey ko tayaar ho gaeen. Apney darwazey tuk na phoncheen thi key hooraan-e-jannat asmaan say nazil houeen aur Janab Saiyada (A.S.) ko zevraat aur khilatt-e- jannah sey aarastaa kia aur apna jaloos laikerrawaana hoeen.

Is shaan se janab Saiyada(A.S.) ki sawaari Yahudi key ghar pohnchi. Jounhee Aap yahudi kay makaan mein dakhil houein tamaam akaan apkay noor say roshan hogia aur aisee
khushboo phailee kay dur dur tuk mahsoos honey laghee.

Yeh tajammul aur aqar dekh kar tamaam yahudi aurtein behosh hogaein. Thorree dair
baad sub ko hosh aaya magar dulhan ko hosh nahee aayaa. Lakh tudbeerain kein magar sub baisood hooein. Dekha gia tau maalum hua kay rooh aaroos qafus-e-ansari se
pervaz ker chukee hai.

Annan-fannun mein khan-ae-shaadi matum kada bungia. Janaab Saiyada (A.S.) ko yeh dekh-ker bohatt tashveesh hooee aur aap nay fermaya kay itminaan rakhoo abhi hosh
ajaata hai.

Iske baad aap nain dau rakaat namaaz purhkar dua farmaee aur kaha kay aey merey Mabood mein bint-e-Rasool (A.S.) hoon: Siddiqa naam rakha hai aapney Batool ka
Jhootta nakijeo moojey sadqaa Rasool Ka Aey mere Mabood-e-Berhaq: Mein aapke Rasool
ki baitti hoon. Meri izzatt aapke haat may hai.

Tamaam loogh yeh hi kahein gay kay Saiyada (A.S) kay aateh hi dulhun khatum hogaee aur khana-e-shaadi khana-e-ghum bungiya. Kuch dair na guzree thee kay aapki dua qabool hooee aur dulhan kalma-e-shahaadat purhtee huee outth baitthi.

Allah Huma Salai Allah Mohammad Wa Ale-Mohammad Aur kheney laghee key mein shahadat daittee hum key khuda wahdat-la-shareek haiy Aur Hazarat Mohammad Mustafa (A.S.) burhaq hein aur aap inkee sahabzaadi hein.

Aap mojhay Mazhab-e-Islam key taaleem furmaaen. Aur iss terha dulhan musulmaan hogai. Janab Fatima Zahra (A.S.) kay yey ijaz daikhker panchso yahudi murd aur aurtein bhi musulmaan hogai.

Aur aap ko sub nein nehaayat izzat aur ahtraam key saath rukhsut kia. Eik aurat apkee kaneezi mein dee. Aap ney upney daulat khaney per tashreef laakar tammaam majra
Janab-e-Rasool Khuda (A.S.) say beeyaan kia.

Risaalat Maab Hazrat Mohammad (A.S.) ney bhi khuda ka shuker adaa kia. Kahanni ka phaila hisa khatum hoaa. Mozamma ney doosra hisa shooroo kia. Sunarun nehaayat aur
dilchuspee say suntee rahee.

DOOSRAA HISSA Kissee shaiher mein eik badshah rahtaa tha. Usney apney wazir say
kahaa kay saamaan-e-sheekar taiyaar karo. Wazir nay samaan-sheekar taiyar kiya aur badshah ko khaber dee. Badshah sheekar ko chaldia.

Shezaadi aur wazirzaadi donno larkiyaan bhi saat theen. Chultey chultey eik jungle main ponchey. Khaimein nasab keeyay gaey. Lashkar waley thakaawat duur karney kay leeye laittey.

Kuch loghon ney naashta kia. Itney mey itnee zor ki aandhi chalee kay sub log urrgai. Shahzadi aur wazirzadi eik pahaarr per jakar geerin. Aandhi bund honay kay baad rafta rafta tammam logg jamma hogaey.

Aur tammam lashker lott aaya. Magar larkiyon ka koee putta na challaa. Badshah aur wazir
nay bahoot dhonda aur surganda phirey magar kaheen bhi larrkion ka patta na mila. Sub majboor hokar wapas aagai.

Itafaqan unkey wapis jaaney ke bad kissee doosrey mulk ka badshah issi jungle main sheekaar khelney ke liyey aaya aur apney wazir ko hookum diya key pani talaash
kerke laaey. Wazir pani ki talaash mein itafiqan ussi paharr per ponhanch gia jahan per daunno larkiyan thein.

Yey larkeiyan apne waaldayn se beecher ker itnaa roeen ke dauno ko gush aagia. Alam-e-ghushi may in larkiyoun ne daikha kay ek niqab posh Mozamma tashreef laaee hain aur fermarahee hein ke aiy larkiyoo tum mannut maan lo kay jub tum waldain se mill jaoo gi
tou Janaab-e-Saiyada (A.S) ki kahaani sunno ghi.

Inn larkiyuonay alam-e-ghashee may yey manat maan lee. Jub hosh aaya to ek doosrey nay iss waqeya ki tasdeeq ki. Itney mey wazir paani ki talaash may gia aur donno larkiyoon ko daikh ker bahut hairaan hoowa.

Wazir aur Badshah nay dono larkiyon ko saath aaney ko kaha. Chand rooz larkiyaan badshad kay yahan raheen. Phir badshah nay in larkiyoun ke waaldain ko itallah dee.
Larkiyun kay waldain ne forun khat likhker unko wapis bulwaya.

Iss doosrey badshah ne arz ki kay apki larkiyaan hazir hein magar kiya ye achca ho kay badshah ki larki ki shaadi uske baitte aur wazir ki larki ki shaddi wazir kay larkay sey ho
jai. Phailey badshah nay ye bath manzoor karlee.

Doosrey badshah ney dono larkiyon ko rukhsat kardiaa aur Larkiyaan apney waldain se milker bahut hi khush huin. Donno larkiyun ki shaadi hogai aur donno larkiyan dulhan bunker susraal chaleen. Itifiqan ek diulhan ka lotta jo jehez mey mila tha waheen reh gia. Ek seepahee ko wapis rawana kiya kay lotta lay aaey.

Seepahee wahan gia to kia daikhta hai kay jahan per larkiyoon kay baap ka mahal that wahaan maidaan hai aur ussi maidaan may lotta rakhaa hai. Jub seepahee nay lotta otthana chahaa, iss lottey may se eik saamp ney phanna nikala. Seepahee uchchal ker
peechey hutt gia.

Seepahee ney bahut chaaha ke lotta uttah sakay laikin mumkin na ho saka. Majboran yo seepahee wapis aaya aur sub ko ye majra soonaya. Badshah ko yeh sunker bohatt hairut hooee aur yoh dulhunno ke pass aaya aur kaha kay maloom hota hai kay tum dono jadogar ho. Is waqt mein tum ko qaid kerta hun aur subha ko qatalkara dun ga. Jub donno larkiyun nay yeh sunna to liputtker khoob roeen aur behooshhogaeen.

Haalat behooshi may daikha kay wohee Pak Naqaab posh Mauzamma jo pahaarr per nazar aaee thein phir tashreef laaeen aurfermaney lagin kay aiylarkiyoon tum nay mannat
manni thi kay jub tum apne waldain se milogee to Janab Saiyada (A.S.) ki kahani sunno gi.

Tum logo nay kahaani naheen sunni. Yeh bud ahdi ki hai. Issi wajhaa se ye azaab nazil hoaa hai. Ab tum loug issi qaid khaney may kahaani soono. Larkiyun ney kaha ke qaid-khaney maen humarey pass paissey kahan hein. Aapney fermaaya kay tumaharay
aanchal mein dou paissaiy bundhey haein. Larkiyaan jub hosh may aaeen tou kia daikha kay waqai inke anchel mein dou paisey bundeh thaiy.

Ab inhonney kisi tudbeer se dou paisun ki meetthaee mangaee aur eik larkee ne kahani
kahee aur doosri nay sooni. Subhay ko jub jalaad in lurkiyoon ko qatal kernay kay liay aaya tou inn donno nay uss say kaha pahlay hum badshah se kuch arz karna chahatay hein. Jub
badshah inke pass Tasreef laya toa inn donno ne upney henna aalood haath band ker
kahaa kay ek aadmi hummaray makaan per bhaij dijye phir aapki jo marzi hogi yo keejyia ga.

Badshah nay yeh manzoor kia aur eik seepahee ko rawaana kia. Seepahee nay jakar jo daikha yo hairaan rah gia. Wahan per sub kuch mojood that. Mahal, takht-o-taj sub kuch salamut thaah. Badshah lurkiyun kay pass gia aur daryaft kia kay yeh kia majra hai Larkiyun nay badshah ko sub majra batayya.

Badshah nay dil se iss maujzay per yaqeen kia aur forrun huqum dia kay donno larrkiyyon ko ba izzat aur ahtaram ke saat riha kiya jai aur mahal ponchaaya jai. YE KAHAANI SUNARUN SE KHAI KER JANAB SAIYADA (A.S.) ROO-POSH HO GAEEN.

Sunarun jub apne ghar wapis aaee tou kia daikhtihai kay jin logoun naykahaani sunney aur sunnaanay say inkaar kia thah aur Mazaalah fazool sumjah that, unke gharhun mein aag lugg gaee thee.

JIS TARRAH SUNNARUN KI MURAAD PURI HUI, KHUDA- WAN-DE-ALAM (Bahuq-e- Janaab Saiyada Fatima A.S.) HUM SUB SUNN-NAI- WALUN KI MURAADEIN PURI KERAIN: Ameen-summ-

Comments

comments